Saturday, August 18, 2007

Vyatha

Aaj uska janmdin hai..aur wo bahut door wahan apne ghar par hai..na hi usse thik se baat hui aaj aur na hi milne ka koi scope tha..pata nahi aise kitne hi armaano ko man me dabaye, aage chalte jana hoga..ek dilemma to laga hai hi, par saath hi aage aane wale samay me kuch behtar bhi nazar aa raha hai..ab fir se haath-pair patakne shuru kar diye hain...par fir bhi andar hi andar ek dar bhi baitha hua hai, jo kabhi kabhi bahut gaharane lagta hai..ek taraf to man me dilemma laga hai aur doosri taraf doosri duniya ke sapne..sochta hun ki thode din thahar jaaoon...ye sab shayad aur clear hoga..samay ki naav waise bhi hamesha thik hi kinare par pahunchati hai..par parallely patience ka bhi to imtehaan chal raha hai..agar galti se mai fail ho gaya.........

No comments: